agar vo jhooth bhi bole to ham sach maan lete hain
naqaabon mein chhupe chehron ko ham pehchaan lete hain
zaroorat teer ya talwaar ki un ko nahin hoti
nazar ki maar se vo aashiqon ki jaan lete hain
wahan to jis ko bhi jaana hai khaali haath jaana hai
na jaane log phir kyun is qadar samaan lete hain
inaayat ki karam ki ik nazar karte hain badle mein
kabhi vo jaan lete hain kabhi eimaan lete hain
iraade par atal rahte hain ai aaghaaz ham apne
wahi sab kar guzarte hain jo man mein thaan lete hain
अगर वो झूट भी बोले तो हम सच मान लेते हैं
नक़ाबों में छुपे चेहरों को हम पहचान लेते हैं
ज़रूरत तीर या तलवार की उन को नहीं होती
नज़र की मार से वो आशिक़ों की जान लेते हैं
वहाँ तो जिस को भी जाना है ख़ाली हाथ जाना है
न जाने लोग फिर क्यों इस क़दर सामान लेते हैं
इनायत की करम की इक नज़र करते हैं बदले में
कभी वो जान लेते हैं कभी ईमान लेते हैं
इरादे पर अटल रहते हैं ऐ 'आग़ाज़' हम अपने
वही सब कर गुज़रते हैं जो मन में ठान लेते हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ganesh Gaikwad Aaghaz
our suggestion based on Ganesh Gaikwad Aaghaz
As you were reading Nigaah Shayari Shayari