agar ho chashm-e-haqeeqat to dekh kya hoon main | अगर हो चश्म-ए-हक़ीक़त तो देख क्या हूँ मैं

  - Gawwas Qureshi

agar ho chashm-e-haqeeqat to dekh kya hoon main
fana ke rang mein ik jouhar-e-baqa hoon main

tilism-e-band se mushkil rihaai hai dil ki
hisaar-e-chashm-e-fusoon-saaz mein ghira hoon main

mita mita ke mujhe ek din mita dega
zamaana-saaz tiri chaal jaanta hoon main

kamaal-e-ishq tasavvur hai auj par aisa
tire jamaal ko har shay mein dekhta hoon main

meri talash mein gum hain musaafiraan-e-adam
hudood-e-vehm se aage nikal gaya hoon main

talash jis ki hai har ik ko main vo manzil hoon
jo tay na kar sake koi vo marhala hoon main

talash jis ki mujhe kho chuki hai ai ghavvaas
usi ko bahr-e-tahayyur mein dhoondhta hoon main

अगर हो चश्म-ए-हक़ीक़त तो देख क्या हूँ मैं
फ़ना के रंग में इक जौहर-ए-बक़ा हूँ मैं

तिलिस्म-ए-बंद से मुश्किल रिहाई है दिल की
हिसार-ए-चश्म-ए-फ़ुसूँ-साज़ में घिरा हूँ मैं

मिटा मिटा के मुझे एक दिन मिटा देगा
ज़माना-साज़ तिरी चाल जानता हूँ मैं

कमाल-ए-इश्क़ तसव्वुर है औज पर ऐसा
तिरे जमाल को हर शय में देखता हूँ मैं

मिरी तलाश में गुम हैं मुसाफ़िरान-ए-अदम
हुदूद-ए-वहम से आगे निकल गया हूँ मैं

तलाश जिस की है हर इक को मैं वो मंज़िल हूँ
जो तय न कर सके कोई वो मरहला हूँ मैं

तलाश जिस की मुझे खो चुकी है ऐ 'ग़व्वास'
उसी को बहर-ए-तहय्युर में ढूँढता हूँ मैं

  - Gawwas Qureshi

Fantasy Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Gawwas Qureshi

As you were reading Shayari by Gawwas Qureshi

Similar Writers

our suggestion based on Gawwas Qureshi

Similar Moods

As you were reading Fantasy Shayari Shayari