dil agar maail-e-itaab na ho
dard ka dard phir jawaab na ho
aisi karvat bhi koi karvat hai
jis ke pahluu mein inqilaab na ho
kyun chamak utha aaj may-khaana
tere saaghar mein aftaab na ho
bahr-e-hasti mein naa-khuda-e-jahaan
zindagi soorat-e-habaab na ho
dil se koshish kare agar insaan
ghair-mumkin hai kaamyaab na ho
kyun pareshaan rehta hai ghavvaas
teri taqdeer mahv-e-khwaab na ho
दिल अगर माइल-ए-इ'ताब न हो
दर्द का दर्द फिर जवाब न हो
ऐसी करवट भी कोई करवट है
जिस के पहलू में इंक़लाब न हो
क्यूँ चमक उट्ठा आज मय-ख़ाना
तेरे साग़र में आफ़्ताब न हो
बहर-ए-हस्ती में ना-ख़ुदा-ए-जहाँ
ज़िंदगी सूरत-ए-हबाब न हो
दिल से कोशिश करे अगर इंसाँ
ग़ैर-मुमकिन है कामयाब न हो
क्यूँ परेशान रहता है 'ग़व्वास'
तेरी तक़दीर महव-ए-ख़्वाब न हो
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Gawwas Qureshi
our suggestion based on Gawwas Qureshi
As you were reading Udas Shayari Shayari