intizaar-e-deed mein yun aankh patharaai ki bas | इंतिज़ार-ए-दीद में यूँ आँख पथराई कि बस

  - Gawwas Qureshi

intizaar-e-deed mein yun aankh patharaai ki bas
marte marte vo hui aalam mein ruswaai ki bas

dekh kar shabnam ki haalat hans padi nau-ras-kali
do-ghadi patton pe rah kar itna itraai ki bas

dil ki dhadkan badh gai aankhon mein aansu aa gaye
ik zara si baat par itni hasi aayi ki bas

maut ko bhi marne waale par taras aa hi gaya
is tarah chadhti jawaani mein qaza aayi ki bas

baat kaisi ab to honton par hai aahon ka hujoom
chot khaane par bhi aisi chot par khaai ki bas

tauba karne ko to kar li hazrat-e-'ghawwaas ne
yak-b-yak gardoon pe vo kaali ghatta chhaai ki bas

इंतिज़ार-ए-दीद में यूँ आँख पथराई कि बस
मरते मरते वो हुई आलम में रुस्वाई कि बस

देख कर शबनम की हालत हँस पड़ी नौ-रस-कली
दो-घड़ी पत्तों पे रह कर इतना इतराई कि बस

दिल की धड़कन बढ़ गई आँखों में आँसू आ गए
इक ज़रा सी बात पर इतनी हँसी आई कि बस

मौत को भी मरने वाले पर तरस आ ही गया
इस तरह चढ़ती जवानी में क़ज़ा आई कि बस

बात कैसी अब तो होंटों पर है आहों का हुजूम
चोट खाने पर भी ऐसी चोट पर खाई कि बस

तौबा करने को तो कर ली हज़रत-ए-'ग़व्वास' ने
यक-ब-यक गर्दूं पे वो काली घटा छाई कि बस

  - Gawwas Qureshi

Shaheed Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Gawwas Qureshi

As you were reading Shayari by Gawwas Qureshi

Similar Writers

our suggestion based on Gawwas Qureshi

Similar Moods

As you were reading Shaheed Shayari Shayari