dard jab dastaras-e-chaaragaraan se nikla
harf-e-inkaar mohabbat ki zabaan se nikla
zindagaani mein sabhi rang the mehroomi ke
tujh ko dekha to main ehsaas-e-ziyaan se nikla
sab b-aasaani mere khwaab ko padh lete the
phir to main anjuman-e-dil-zadgaan se nikla
jazba-e-ishq ne jab ediyaan apni ragadeen
khaak udaata hua ik dasht wahan se nikla
rozan-e-jism mein ik dard hua tha daakhil
aakhir aakhir main vo darwaaza-e-jaan se nikla
muddaton tak meri takh'eel ameen thi us ki
aur ik din vo meri hadd-e-gumaan se nikla
दर्द जब दस्तरस-ए-चारागराँ से निकला
हर्फ़-ए-इंकार मोहब्बत की ज़बाँ से निकला
ज़िंदगानी में सभी रंग थे महरूमी के
तुझ को देखा तो मैं एहसास-ए-ज़ियाँ से निकला
सब ब-आसानी मिरे ख़्वाब को पढ़ लेते थे
फिर तो मैं अंजुमन-ए-दिल-ज़दगाँ से निकला
जज़्बा-ए-इश्क़ ने जब एड़ियाँ अपनी रगड़ीं
ख़ाक उड़ाता हुआ इक दश्त वहाँ से निकला
रोज़न-ए-जिस्म में इक दर्द हुआ था दाख़िल
आख़िर आख़िर मैं वो दरवाज़ा-ए-जाँ से निकला
मुद्दतों तक मिरी तख़्ईल अमीं थी उस की
और इक दिन वो मिरी हद्द-ए-गुमाँ से निकला
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ghalib Ayaz
our suggestion based on Ghalib Ayaz
As you were reading Mohabbat Shayari Shayari