jabeen-e-shauq pe gard-e-malaal chahti hai | जबीन-ए-शौक़ पे गर्द-ए-मलाल चाहती है

  - Ghalib Ayaz

jabeen-e-shauq pe gard-e-malaal chahti hai
meri hayaat safar ka maal chahti hai

main wusaaton ka talabgaar apne ishq mein hoon
vo meri zaat mein ik yarghamaal chahti hai

hamein khabar hai ki us meherbaan ki charagari
hamaare zakhamon ka kab indimaal chahti hai

tumhaare baad meri aankh zid pe aa gai hai
wahi jamaal wahi khadd-o-khaal chahti hai

ham us ke jabr ka qissa tamaam chahte hain
aur us ki teg hamaara zawaal chahti hai

hari rutoon ko idhar ka pata nahin maaloom
barhana shaakh abas dekh-bhaal chahti hai

जबीन-ए-शौक़ पे गर्द-ए-मलाल चाहती है
मिरी हयात सफ़र का मआल चाहती है

मैं वुसअतों का तलबगार अपने इश्क़ में हूँ
वो मेरी ज़ात में इक यर्ग़माल चाहती है

हमें ख़बर है कि उस मेहरबाँ की चारागरी
हमारे ज़ख़्मों का कब इंदिमाल चाहती है

तुम्हारे बाद मिरी आँख ज़िद पे आ गई है
वही जमाल वही ख़द्द-ओ-ख़ाल चाहती है

हम उस के जब्र का क़िस्सा तमाम चाहते हैं
और उस की तेग़ हमारा ज़वाल चाहती है

हरी रुतों को इधर का पता नहीं मालूम
बरहना शाख़ अबस देख-भाल चाहती है

  - Ghalib Ayaz

Violence Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ghalib Ayaz

As you were reading Shayari by Ghalib Ayaz

Similar Writers

our suggestion based on Ghalib Ayaz

Similar Moods

As you were reading Violence Shayari Shayari