kabhi gumaan kabhi e'tibaar ban ke raha | कभी गुमान कभी ए'तिबार बन के रहा

  - Ghalib Ayaz

kabhi gumaan kabhi e'tibaar ban ke raha
dayaar-e-chashm mein vo intizaar ban ke raha

hazaar khwaab meri milkayat mein shaamil the
main tere ishq mein sarmaaya-daar ban ke raha

tamaam umr use chaahna na tha mumkin
kabhi kabhi to vo is dil pe baar ban ke raha

usi ke naam karoon main tamaam ahad-e-khyaal
daroon-e-jaan jo mere sogwaar ban ke raha

agarche shehar mein mamnoo'a thi himayat-e-khwaab
magar ye dil sabab-e-intishaar ban ke raha

कभी गुमान कभी ए'तिबार बन के रहा
दयार-ए-चश्म में वो इंतिज़ार बन के रहा

हज़ार ख़्वाब मिरी मिलकियत में शामिल थे
मैं तेरे इश्क़ में सरमाया-दार बन के रहा

तमाम उम्र उसे चाहना न था मुमकिन
कभी कभी तो वो इस दिल पे बार बन के रहा

उसी के नाम करूँ मैं तमाम अहद-ए-ख़याल
दरून-ए-जाँ जो मिरे सोगवार बन के रहा

अगरचे शहर में ममनूअ थी हिमायत-ए-ख़्वाब
मगर ये दिल सबब-ए-इंतिशार बन के रहा

  - Ghalib Ayaz

Chaahat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ghalib Ayaz

As you were reading Shayari by Ghalib Ayaz

Similar Writers

our suggestion based on Ghalib Ayaz

Similar Moods

As you were reading Chaahat Shayari Shayari