jahaan kharab sahi ham badan-dareeda sahi
tiri talash mein nikle hain pa-bureeda sahi
jahaan-e-sheer mein meri kai riyaasatein hain
main apne shehar mein gumnaam o na-shuneeda sahi
bhale hi chaanv na de aasraa to deta hai
ye aarzoo ka shajar hai khizaan-raseeda sahi
inhi bujhi hui aankhon mein khwaab utarenge
yaqeen na chhod ye beemaar o shab-guzeeda sahi
dilon ko jodne waali ghazal salaamat hai
taalluqaat hamaare bhale kasheeda sahi
जहाँ ख़राब सही हम बदन-दरीदा सही
तिरी तलाश में निकले हैं पा-बुरीदा सही
जहान-ए-शेर में मेरी कई रियासतें हैं
मैं अपने शहर में गुमनाम ओ ना-शुनीदा सही
भले ही छाँव न दे आसरा तो देता है
ये आरज़ू का शजर है ख़िज़ाँ-रसीदा सही
इन्ही बुझी हुई आँखों में ख़्वाब उतरेंगे
यक़ीं न छोड़ ये बीमार ओ शब-गुज़ीदा सही
दिलों को जोड़ने वाली ग़ज़ल सलामत है
तअल्लुक़ात हमारे भले कशीदा सही
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ghalib Ayaz
our suggestion based on Ghalib Ayaz
As you were reading Aarzoo Shayari Shayari