husn ke zer-e-baar ho ki na ho
ab ye dil be-qaraar ho ki na ho
marg-e-amboh dekh aate hain
aankh phir ashk-baar ho ki na ho
karb-e-paiham se ho gaya patthar
ab ye seena figaar ho ki na ho
phir yahi rut ho ain mumkin hai
par tira intizaar ho ki na ho
shaakh-e-zaitoon ke ameen hain ham
shehar mein intishaar ho ki na ho
sher mere sambhaal kar rakhna
ab ghazal mushk-baar ho ki na ho
हुस्न के ज़ेर-ए-बार हो कि न हो
अब ये दिल बे-क़रार हो कि न हो
मर्ग-ए-अम्बोह देख आते हैं
आँख फिर अश्क-बार हो कि न हो
कर्ब-ए-पैहम से हो गया पत्थर
अब ये सीना फ़िगार हो कि न हो
फिर यही रुत हो ऐन मुमकिन है
पर तिरा इंतिज़ार हो कि न हो
शाख़-ए-ज़ैतून के अमीं हैं हम
शहर में इंतिशार हो कि न हो
शेर मेरे संभाल कर रखना
अब ग़ज़ल मुश्क-बार हो कि न हो
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ghalib Ayaz
our suggestion based on Ghalib Ayaz
As you were reading Dil Shayari Shayari