bas tere liye udaas aankhen | बस तेरे लिए उदास आँखें

  - Ghalib Ayaz

bas tere liye udaas aankhen
uf maslahat na-shanaas aankhen

be-noor hui hain dheere dheere
aayein nahin mujh ko raas aankhen

aakhir ko gaya vo kaash rukta
karti raheen iltimaas aankhen

khwaabida haqeeqaton ki maari
paamaal aur bad-havaas aankhen

darpaish junoon ka marhala aur
faqaa hai badan to pyaas aankhen

बस तेरे लिए उदास आँखें
उफ़ मस्लहत ना-शनास आँखें

बे-नूर हुई हैं धीरे धीरे
आईं नहीं मुझ को रास आँखें

आख़िर को गया वो काश रुकता
करती रहीं इल्तिमास आँखें

ख़्वाबीदा हक़ीक़तों की मारी
पामाल और बद-हवास आँखें

दरपेश जुनूँ का मरहला और
फ़ाक़ा है बदन तो प्यास आँखें

  - Ghalib Ayaz

Bekhayali Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ghalib Ayaz

As you were reading Shayari by Ghalib Ayaz

Similar Writers

our suggestion based on Ghalib Ayaz

Similar Moods

As you were reading Bekhayali Shayari Shayari