hamaare shehar ka dastoor baba | हमारे शहर का दस्तूर बाबा

  - Ghani Ghayoor

hamaare shehar ka dastoor baba
pareshaan-haal har mazdoor baba

hue khalvat-nasheen hain log kaamil
jo naqis hain wahi mashhoor baba

nahin dekhe kisi ne un ke chehre
kahaan gilmaan kahaan hai hoor baba

chale hain hissa lene daud mein phir
hamaare shehar ke ma'zoor baba

mujhe yaad aa rahi hai musahfi ki
gazab the meer bhi maghfoor baba

हमारे शहर का दस्तूर बाबा
परेशाँ-हाल हर मज़दूर बाबा

हुए ख़ल्वत-नशीं हैं लोग कामिल
जो नाक़िस हैं वही मशहूर बाबा

नहीं देखे किसी ने उन के चेहरे
कहाँ ग़िल्माँ कहाँ है हूर बाबा

चले हैं हिस्सा लेने दौड़ में फिर
हमारे शहर के मा'ज़ूर बाबा

मुझे याद आ रही है 'मुसहफ़ी' की
ग़ज़ब थे 'मीर' भी मग़्फ़ूर बाबा

  - Ghani Ghayoor

Mazdoor Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ghani Ghayoor

As you were reading Shayari by Ghani Ghayoor

Similar Writers

our suggestion based on Ghani Ghayoor

Similar Moods

As you were reading Mazdoor Shayari Shayari