barsate roz patthar dekhta hoon
yahi rona main ghar ghar dekhta hoon
nikal kar khud se baahar dekhta hoon
samundar apne andar dekhta hoon
upaj dugna hai tujh se ab ke mera
main tere saath mil kar dekhta hoon
nazar aata hai manzar aur koi
jagah apni se uth kar dekhta hoon
hisaab apna yahan sab de rahe hain
bapaa har samt mahshar dekhta hoon
jise tum log behtar kah rahe ho
wahi abtar se abtar dekhta hoon
alag andaaz mera zaviya bhi
tiri duniya se hat kar dekhta hoon
ghani hai asl ashiyaa aur hi kuchh
tumhaare khair ko shar dekhta hoon
बरसते रोज़ पत्थर देखता हूँ
यही रोना मैं घर घर देखता हूँ
निकल कर ख़ुद से बाहर देखता हूँ
समुंदर अपने अंदर देखता हूँ
उपज दुगना है तुझ से अब के मेरा
मैं तेरे साथ मिल कर देखता हूँ
नज़र आता है मंज़र और कोई
जगह अपनी से उठ कर देखता हूँ
हिसाब अपना यहाँ सब दे रहे हैं
बपा हर सम्त महशर देखता हूँ
जिसे तुम लोग बेहतर कह रहे हो
वही अबतर से अबतर देखता हूँ
अलग अंदाज़ मेरा ज़ाविया भी
तिरी दुनिया से हट कर देखता हूँ
ग़नी है अस्ल अशिया और ही कुछ
तुम्हारे ख़ैर को शर देखता हूँ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ghani Ghayoor
our suggestion based on Ghani Ghayoor
As you were reading Aankhein Shayari Shayari