khizr jaisa hai raahbar mujh mein
mujh ko darpaish hai safar mujh mein
kashti-o-na-khuda bahut khatre
kai toofaan kai bhanwar mujh mein
khoon se tar-b-tar gali-kooche
dasht-e-qaatil hai zor par mujh mein
koi tesha-b-dast firta hai
qaryaa qaryaa hai bas sharar mujh mein
jis tarah se hiran pahaadon par
laut kar aata hai hunar mujh mein
ख़िज़्र जैसा है राहबर मुझ में
मुझ को दरपेश है सफ़र मुझ में
कश्ती-ओ-ना-ख़ुदा बहुत ख़तरे
कई तूफ़ाँ कई भँवर मुझ में
ख़ून से तर-ब-तर गली-कूचे
दस्त-ए-क़ातिल है ज़ोर पर मुझ में
कोई तेशा-ब-दस्त फिरता है
क़र्या क़र्या है बस शरर मुझ में
जिस तरह से हिरन पहाड़ों पर
लौट कर आता है हुनर मुझ में
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ghani Ghayoor
our suggestion based on Ghani Ghayoor
As you were reading Khoon Shayari Shayari