aansuon ko rokta hoon der tak
dhund mein kya dekhta hoon der tak
khul gai alfaaz ki hain khidkiyaan
khidkiyon se jhaankta hoon der tak
ped se ishq-e-gilhari dekh kar
us gali mein daudta hoon der tak
khaamoshi bhi koi jharna hai agar
kis liye phir bolta hoon der tak
chiyoontiyon ke bill mein paani daal kar
kyun tamasha dekhta hoon der tak
आँसुओं को रोकता हूँ देर तक
धुँद में क्या देखता हूँ देर तक
खुल गई अल्फ़ाज़ की हैं खिड़कियाँ
खिड़कियों से झाँकता हूँ देर तक
पेड़ से इश्क़-ए-गिलहरी देख कर
उस गली में दौड़ता हूँ देर तक
ख़ामुशी भी कोई झरना है अगर
किस लिए फिर बोलता हूँ देर तक
चियूँटियों के बिल में पानी डाल कर
क्यूँ तमाशा देखता हूँ देर तक
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ghani Ghayoor
our suggestion based on Ghani Ghayoor
As you were reading Gaon Shayari Shayari