shaam tak band rehta hai kamra mera | शाम तक बंद रहता है कमरा मिरा

  - Ghani Ghayoor

shaam tak band rehta hai kamra mera
aur kamre mein tanhaa khilauna mera

din ko ujli rida odh leta hoon main
dekhna raat ko phir tamasha mera

sach kaha tha sabhi mujh se naaraz hain
ab kisi se nahin rishta-naata mera

apne sher'on pe mujh ko bada fakhr hai
jaane kya gul khilaayega charcha mera

do baras ka hoon tifl-e-kitaabi ghani
ho gaya kitna bhari hai basta mera

शाम तक बंद रहता है कमरा मिरा
और कमरे में तन्हा खिलौना मिरा

दिन को उजली रिदा ओढ़ लेता हूँ मैं
देखना रात को फिर तमाशा मिरा

सच कहा था सभी मुझ से नाराज़ हैं
अब किसी से नहीं रिश्ता-नाता मिरा

अपने शे'रों पे मुझ को बड़ा फ़ख़्र है
जाने क्या गुल खिलाएगा चर्चा मिरा

दो बरस का हूँ तिफ़्ल-ए-किताबी 'ग़नी'
हो गया कितना भारी है बस्ता मिरा

  - Ghani Ghayoor

Good night Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ghani Ghayoor

As you were reading Shayari by Ghani Ghayoor

Similar Writers

our suggestion based on Ghani Ghayoor

Similar Moods

As you were reading Good night Shayari Shayari