baagi hudoos se bahut aage nikal gaye
suraj chhua na tha ki mere haath jal gaye
ye hairaton ke beech mein hairat-zada nuqoosh
kaise tamashbeen the patthar mein dhal gaye
jazbaat mein kuchh is tarah us ka badan tha surkh
zanjeer aahani ke karde hi pighal gaye
bagulon se un ke roop bhagat ban ke aaye kuchh
makki ko yaar chhod ke haathi nigal gaye
teele se qahqahon ki fuwaaron mein the ghani
teer ek aankh waale achaanak uchhal gaye
बाग़ी हुदूद से बहुत आगे निकल गए
सूरज छुआ न था कि मिरे हाथ जल गए
ये हैरतों के बीच में हैरत-ज़दा नुक़ूश
कैसे तमाशबीन थे पत्थर में ढल गए
जज़्बात में कुछ इस तरह उस का बदन था सुर्ख़
ज़ंजीर आहनी के कड़े ही पिघल गए
बगुलों से उन के रूप भगत बन के आए कुछ
मक्खी को यार छोड़ के हाथी निगल गए
टीले से क़हक़हों की फुवारों में थे 'ग़नी'
तीर एक आँख वाले अचानक उछल गए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ghani Ghayoor
our suggestion based on Ghani Ghayoor
As you were reading Dosti Shayari Shayari