tum se bichhad ke khud se bhi ham door ho gaye | तुम से बिछड़ के ख़ुद से भी हम दूर हो गए

  - Ghazal Jafari

tum se bichhad ke khud se bhi ham door ho gaye
gumnaam ho ke aur bhi mashhoor ho gaye

ye aur baat tum na sahi doosra sahi
kuchh faisley to ham ko bhi manzoor ho gaye

shohrat jinhen mili thi hamaari duaon se
qudrat ki shaan ham se bhi maghroor ho gaye

main ne to tum ko toot ke chaaha tha jaan-e-jaan
tum jaane kis khayal se majboor ho gaye

haan apni shayari pe hamein naaz hai ghazal
kehne ko apne khwaab kai choor ho gaye

तुम से बिछड़ के ख़ुद से भी हम दूर हो गए
गुमनाम हो के और भी मशहूर हो गए

ये और बात तुम न सही दूसरा सही
कुछ फ़ैसले तो हम को भी मंज़ूर हो गए

शोहरत जिन्हें मिली थी हमारी दुआओं से
क़ुदरत की शान हम से भी मग़रूर हो गए

मैं ने तो तुम को टूट के चाहा था जान-ए-जाँ
तुम जाने किस ख़याल से मजबूर हो गए

हाँ अपनी शायरी पे हमें नाज़ है 'ग़ज़ल'
कहने को अपने ख़्वाब कई चूर हो गए

  - Ghazal Jafari

Hijrat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ghazal Jafari

As you were reading Shayari by Ghazal Jafari

Similar Writers

our suggestion based on Ghazal Jafari

Similar Moods

As you were reading Hijrat Shayari Shayari