dil pe giran hai zikr-e-firaq-o-visaal bhi
guzre hain tere baad kai maah-o-saal bhi
tark-e-ta'alluqaat pe naadim hai vo bahut
auron se poochta hai vo ab mera haal bhi
naakaam ishq zinda-e-jaaved ho gaye
taarikh-e-ishq deti hai aisi misaal bhi
kya ishq mere daur mein napaaid ho gaya
aata hai gahe-gahe ye dil mein khayal bhi
dil phir kisi ki yaad se ghabra gaya ghazal
lagti hai aaj mujh ko tabeeyat nidhaal bhi
दिल पे गिराँ है ज़िक्र-ए-फ़िराक़-ओ-विसाल भी
गुज़रे हैं तेरे बाद कई माह-ओ-साल भी
तर्क-ए-तअ'ल्लुक़ात पे नादिम है वो बहुत
औरों से पूछता है वो अब मेरा हाल भी
नाकाम इश्क़ ज़िंदा-ए-जावेद हो गए
तारीख़-ए-इश्क़ देती है ऐसी मिसाल भी
क्या इश्क़ मेरे दौर में नापैद हो गया
आता है गाहे-गाहे ये दिल में ख़याल भी
दिल फिर किसी की याद से घबरा गया 'ग़ज़ल'
लगती है आज मुझ को तबीअत निढाल भी
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ghazal Jafari
our suggestion based on Ghazal Jafari
As you were reading Promise Shayari Shayari