hai garm intikhaab ka bazaar dekhna | है गर्म इंतिख़ाब का बाज़ार देखना

  - Ghazal Jafari

hai garm intikhaab ka bazaar dekhna
ahl-e-hawas ke bikne ki raftaar dekhna

honge sitam ke haathon girftaar be-gunaah
tauheen-e-adl bar-sar-e-darbaar dekhna

taarikh apne khoon se likkhenge phir humeen
paida hue hain phir wahi aasaar dekhna

mere watan ki aan pe aane na dega aanch
koi to hoga saahib-e-kirdaar dekhna

dikhlaayega ye waqt karishme naye naye
insaan ko parkhne ka mea'ar dekhna

ham chahte hain bazm mein aisi jagah mile
mumkin ho teri samt lagaataar dekhna

haq baat kah gai hai bhari bazm mein ghazal
is daur mein ye jurat-e-izhaar dekhna

है गर्म इंतिख़ाब का बाज़ार देखना
अहल-ए-हवस के बिकने की रफ़्तार देखना

होंगे सितम के हाथों गिरफ़्तार बे-गुनाह
तौहीन-ए-अद्ल बर-सर-ए-दरबार देखना

तारीख़ अपने ख़ून से लिक्खेंगे फिर हमीं
पैदा हुए हैं फिर वही आसार देखना

मेरे वतन की आन पे आने न देगा आँच
कोई तो होगा साहिब-ए-किरदार देखना

दिखलाएगा ये वक़्त करिश्मे नए नए
इंसान को परखने का मेआ'र देखना

हम चाहते हैं बज़्म में ऐसी जगह मिले
मुमकिन हो तेरी सम्त लगातार देखना

हक़ बात कह गई है भरी बज़्म में 'ग़ज़ल'
इस दौर में ये जुरअत-ए-इज़हार देखना

  - Ghazal Jafari

Freedom Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ghazal Jafari

As you were reading Shayari by Ghazal Jafari

Similar Writers

our suggestion based on Ghazal Jafari

Similar Moods

As you were reading Freedom Shayari Shayari