tum jaan-e-aarzoo ho nashaat-e-khyaal ho
kya doon bhala misaal ki tum be-misaal ho
dekha hai jab se tum ko ajab haal hai mera
lagta hai jaise tum hi mere ham-khayaal ho
milne ki aarzoo mein kabhi is tarah milen
duniya kare juda to bichadna muhaal ho
laayein kahaan se jurat-e-izhaar-e-muddaa
aise mein jabki apni hi haalat nidhaal ho
main phir rahi hoon saaye ke peeche ye soch kar
shaayad ki is tarah se tabi'at bahaal ho
khud ko ghazal akeli samjhti ho kis liye
ye kaun jaane tum bhi kisi ka khayal ho
तुम जान-ए-आरज़ू हो नशात-ए-ख़याल हो
क्या दूँ भला मिसाल कि तुम बे-मिसाल हो
देखा है जब से तुम को अजब हाल है मिरा
लगता है जैसे तुम ही मिरे हम-ख़याल हो
मिलने की आरज़ू में कभी इस तरह मिलें
दुनिया करे जुदा तो बिछड़ना मुहाल हो
लाएँ कहाँ से जुरअत-ए-इज़हार-ए-मुद्दआ
ऐसे में जबकि अपनी ही हालत निढाल हो
मैं फिर रही हूँ साए के पीछे ये सोच कर
शायद कि इस तरह से तबीअ'त बहाल हो
ख़ुद को 'ग़ज़ल' अकेली समझती हो किस लिए
ये कौन जाने तुम भी किसी का ख़याल हो
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ghazal Jafari
our suggestion based on Ghazal Jafari
As you were reading Tamanna Shayari Shayari