aazmaaungi use main bhi sehar hone tak
apne ehsaas ki hiddat ko guhar hone tak
kuchh to aadaab-e-mohabbat ka bharam hi rakhte
waqt to lagta hai konpal ko shajar hone tak
apni deewaangi-e-shauq ka kya haal kahein
khaak ho jaayenge ham un ko khabar hone tak
waqt hai ab bhi ghazal rok lo us ko badh kar
kaun milta hai duaon mein asar hone tak
आज़माऊँगी उसे मैं भी सहर होने तक
अपने एहसास की हिद्दत को गुहर होने तक
कुछ तो आदाब-ए-मोहब्बत का भरम ही रखते
वक़्त तो लगता है कोंपल को शजर होने तक
अपनी दीवानगी-ए-शौक़ का क्या हाल कहें
ख़ाक हो जाएँगे हम उन को ख़बर होने तक
वक़्त है अब भी 'ग़ज़ल' रोक लो उस को बढ़ कर
कौन मिलता है दुआओं में असर होने तक
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ghazal Jafari
our suggestion based on Ghazal Jafari
As you were reading Mashwara Shayari Shayari