shab-e-firaq hai aur ham bhi gham ke maare hain
tumhaare khwaab hi tanhaai ke sahaare hain
har ik khayal mera aansoon mein dhalt hai
ye gesu phir bhi tiri yaad mein sanwaare hain
vo door rah ke bhi saanson se bhi qareeb rahe
bahut ajeeb hai ab tak vo ham ko pyaare hain
hayaat ab to yahi sochti guzarti hai
tumhaari tarah se kya ham bhi tum ko pyaare hain
main un ko bhoolna chaahoon to kis tarah bhoolun
mere naseeb ke toote hue sitaare hain
gila nahin hai kisi se jafaa ka phir bhi ghazal
koi bataaye to kya ab bhi vo hamaare hain
शब-ए-फ़िराक़ है और हम भी ग़म के मारे हैं
तुम्हारे ख़्वाब ही तन्हाई के सहारे हैं
हर इक ख़याल मिरा आँसूओं में ढलता है
ये गेसू फिर भी तिरी याद में सँवारे हैं
वो दूर रह के भी साँसों से भी क़रीब रहे
बहुत अजीब है अब तक वो हम को प्यारे हैं
हयात अब तो यही सोचती गुज़रती है
तुम्हारी तरह से क्या हम भी तुम को प्यारे हैं
मैं उन को भूलना चाहूँ तो किस तरह भूलूँ
मिरे नसीब के टूटे हुए सितारे हैं
गिला नहीं है किसी से जफ़ा का फिर भी 'ग़ज़ल'
कोई बताए तो क्या अब भी वो हमारे हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ghazal Jafari
our suggestion based on Ghazal Jafari
As you were reading Alone Shayari Shayari