dekhi hain bazm-e-shauq ki raanaaiyaan bahut
likkhi theen par naseeb mein tanhaaiyaan bahut
hairaan hoon kis tarah se vo maqbool ho gaya
kehne ko us ke saath theen ruswaaiyaan bahut
ham to hisaar-e-hijr se baahar na ja sake
us ki to shehar mein theen shaanaasaaiyaan bahut
kundan sa jism jhooti ana par luta diya
kaanon mein goonjti raheen shehnaaiyaan bahut
khud apni zaat mein hi mukammal ghazal hain ham
dekhi hain ham ne husn ki raanaaiyaan bahut
देखी हैं बज़्म-ए-शौक़ की रानाइयाँ बहुत
लिक्खी थीं पर नसीब में तन्हाइयाँ बहुत
हैराँ हूँ किस तरह से वो मक़्बूल हो गया
कहने को उस के साथ थीं रुस्वाइयाँ बहुत
हम तो हिसार-ए-हिज्र से बाहर न जा सके
उस की तो शहर में थीं शानासाइयाँ बहुत
कुंदन सा जिस्म झूटी अना पर लुटा दिया
कानों में गूँजती रहीं शहनाइयाँ बहुत
ख़ुद अपनी ज़ात में ही मुकम्मल 'ग़ज़ल' हैं हम
देखी हैं हम ने हुस्न की रानाइयाँ बहुत
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ghazal Jafari
our suggestion based on Ghazal Jafari
As you were reading Rahbar Shayari Shayari