baithe hain eed ko sab yaar baghal mein le kar | बैठे हैं ईद को सब यार बग़ल में ले कर

  - Ghazanfar Ali Ghazanfar

baithe hain eed ko sab yaar baghal mein le kar
baitheen ham kya dil-e-beemaar baghal mein le kar

kushta-e-naaz faqat is pe hain naazaan jee mein
ki nikalta hai vo talwaar baghal mein le kar

roye ham us ki tamanna-e-ham-aaghoshi mein
dil-e-maayus ko naachaar baghal mein le kar

bad-gumaani se hamein baithe uthte hai ye soch
baithe honge use aghyaar baghal mein le kar

may-e-ulfat ki tarang aayi to aaya dauda
sheesha-e-may ko vo may-khwaar baghal mein le kar

koo-b-koo khaana-nasheeni ka ho us ki charcha
baithe jo tujh sa tarhdaar baghal mein le kar

shab-e-tanhaai mein so rahte hain mushtaaq tire
b-tasavvur tujhe har baar baghal mein le kar

sun ke ham mahv-e-chaman us ko ghazanfar aaye
dil-e-pur-daagh se gulzaar baghal mein le kar

बैठे हैं ईद को सब यार बग़ल में ले कर
बैठें हम क्या दिल-ए-बीमार बग़ल में ले कर

कुश्ता-ए-नाज़ फ़क़त इस पे हैं नाज़ाँ जी में
कि निकलता है वो तलवार बग़ल में ले कर

रोए हम उस की तमन्ना-ए-हम-आग़ोशी में
दिल-ए-मायूस को नाचार बग़ल में ले कर

बद-गुमानी से हमें बैठते उठते है ये सोच
बैठे होंगे उसे अग़्यार बग़ल में ले कर

मय-ए-उल्फ़त की तरंग आई तो आया दौड़ा
शीशा-ए-मय को वो मय-ख़्वार बग़ल में ले कर

कू-ब-कू ख़ाना-नशीनी का हो उस की चर्चा
बैठे जो तुझ सा तरहदार बग़ल में ले कर

शब-ए-तन्हाई में सो रहते हैं मुश्ताक़ तिरे
ब-तसव्वुर तुझे हर बार बग़ल में ले कर

सुन के हम महव-ए-चमन उस को 'ग़ज़ंफ़र' आए
दिल-ए-पुर-दाग़ से गुलज़ार बग़ल में ले कर

  - Ghazanfar Ali Ghazanfar

Friendship Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ghazanfar Ali Ghazanfar

As you were reading Shayari by Ghazanfar Ali Ghazanfar

Similar Writers

our suggestion based on Ghazanfar Ali Ghazanfar

Similar Moods

As you were reading Friendship Shayari Shayari