jabeen par kyun shikan hai ai jaan munh hai gusse se laal kaisa | जबीन पर क्यूँ शिकन है ऐ जान मुँह है ग़ुस्से से लाल कैसा

  - Habeeb Moosavi

jabeen par kyun shikan hai ai jaan munh hai gusse se laal kaisa
hazaar baatein hon ek hain phir bhala ye baaham malaal kaisa

nahin hai ab taab-e-dard-e-furqat kahaan ki izzat kahaan ki ghairat
hain mubtala apne haal mein ham kisi ka is dam khayal kaisa

batao mujh ko ye kya hua hai ye kaun sa dard-e-la-dawa hai
ye kyun mera dam uljh raha hai hai khud-bakhud jee nidhaal kaisa

tamaam aalam hua jo shaida to kuchh ta'ajjub nahin hai is ka
but-e-sitmagaar tujh ko baksha khuda ne husn-o-jamaal kaisa

gunah se seeri hui nahin hai ye kahte hain sab ajal qareen hai
qalq mein har dam dil-e-hazeen hai ki hoga apna ma'aal kaisa

ye us sitamgar se koi kah de mareez-e-furqat ki ab khabar le
hain kat rahi zindagi ki ghadiyan kahaan ka din maah-o-saal kaisa

gazab se hai waan jo cheen jabeen par hujoom-e-gham hai dil-e-hazeen par
lahu ke dhabbe hain aasteen par hai daaman ashkon se laal kaisa

havas hai har ek jee ki jee mein hue jo ghash vasl ki khushi mein
tamaam shab guzri be-khudi mein jawaab kaisa sawaal kaisa

jahaan chaana pada hai kab ka falak pe vehshat ka ab hai shohra
kahaan ka maghrib kahaan ka mashriq junoob kaisa shumaal kaisa

vo mehr hoon main hua jo taalea to ik zamaane ne khaak udaai
chamakne dete nahin hain bad mein urooj kaisa zawaal kaisa

habeeb kar ke buton ki ulfat abhi se ye hijr ki shikaayat
rahega ab hashr tak ye jhagda yahan bhala infisaal kaisa

जबीन पर क्यूँ शिकन है ऐ जान मुँह है ग़ुस्से से लाल कैसा
हज़ार बातें हों एक हैं फिर भला ये बाहम मलाल कैसा

नहीं है अब ताब-ए-दर्द-ए-फ़ुर्क़त कहाँ की इज़्ज़त कहाँ की ग़ैरत
हैं मुब्तला अपने हाल में हम किसी का इस दम ख़याल कैसा

बताओ मुझ को ये क्या हुआ है ये कौन सा दर्द-ए-ला-दवा है
ये क्यूँ मिरा दम उलझ रहा है है ख़ुद-बख़ुद जी निढाल कैसा

तमाम आलम हुआ जो शैदा तो कुछ तअ'ज्जुब नहीं है इस का
बुत-ए-सितमगार तुझ को बख़्शा ख़ुदा ने हुस्न-ओ-जमाल कैसा

गुनह से सेरी हुई नहीं है ये कहते हैं सब अजल क़रीं है
क़लक़ में हर दम दिल-ए-हज़ीं है कि होगा अपना मआ'ल कैसा

ये उस सितमगर से कोई कह दे मरीज़-ए-फ़ुर्क़त की अब ख़बर ले
हैं कट रही ज़िंदगी की घड़ियाँ कहाँ का दिन माह-ओ-साल कैसा

ग़ज़ब से है वाँ जो चीं जबीं पर हुजूम-ए-ग़म है दिल-ए-हज़ीं पर
लहू के धब्बे हैं आस्तीं पर है दामन अश्कों से लाल कैसा

हवस है हर एक जी की जी में हुए जो ग़श वस्ल की ख़ुशी में
तमाम शब गुज़री बे-ख़ुदी में जवाब कैसा सवाल कैसा

जहान छाना पड़ा है कब का फ़लक पे वहशत का अब है शोहरा
कहाँ का मग़रिब कहाँ का मशरिक़ जुनूब कैसा शुमाल कैसा

वो मेहर हूँ मैं हुआ जो तालेअ' तो इक ज़माने ने ख़ाक उड़ाई
चमकने देते नहीं हैं बद में उरूज कैसा ज़वाल कैसा

'हबीब' कर के बुतों की उल्फ़त अभी से ये हिज्र की शिकायत
रहेगा अब हश्र तक ये झगड़ा यहाँ भला इंफ़िसाल कैसा

  - Habeeb Moosavi

Zindagi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Habeeb Moosavi

As you were reading Shayari by Habeeb Moosavi

Similar Writers

our suggestion based on Habeeb Moosavi

Similar Moods

As you were reading Zindagi Shayari Shayari