shab ki mutarib tha sharaab-e-naab thi paimaana tha | शब कि मुतरिब था शराब-ए-नाब थी पैमाना था

  - Habeeb Moosavi

shab ki mutarib tha sharaab-e-naab thi paimaana tha
vo paree-vash kya na tha goya ki jo kuchh tha na tha

soz-e-dil se lab ye har dam naala betaabaana tha
hijr-e-saaqi mein kisi pahluu qaraar aslaa na tha

jalva-gar dil mein khayal-e-aariz-e-jaanaana tha
ghar ki zeenat thi ki zeenat-bakhsh sahib-khaana tha

kya karoon ab mubtala hoon aap apne haal mein
di thi nemat us ne jab lab par mere shukraana tha

shohra-e-aafaq hoti meri az-khud-raftagi
khairiyat guzri ki aankhon se tujhe dekha na tha

fasl-e-gul mein chhodta may dekh kar maah-e-siyaam
kuchh junoon mujh ko na tha vehshat na thi sauda na tha

kya kahoon dar ye hai vo leila-ada rusva na ho
warna majnoon se bhi kuchh badh kar mera afsaana na tha

gar nazaakat mein na hota misl-e-taar-e-ankaboot
khoob ulfat se zamaana mein koi rishta na tha

yun zaeefi aa gai goya azal se the zaif
aur shabaab aisa gaya jaise kabhi aaya na tha

hai yaqeen aashiq tumhaara mar gaya ho lo khabar
main ne kal dekha tha ja kar haal kuchh achha na tha

neem-baaz aankhen tumhaara naam tha vird-e-zabaan
zakhm-e-dil par haath tha lab par magar shikwa na tha

bakht ki bargashtagi guzri hai had se ai habeeb
dekhte hain un ke talve jin ka munh dekha na tha

शब कि मुतरिब था शराब-ए-नाब थी पैमाना था
वो परी-वश क्या न था गोया कि जो कुछ था न था

सोज़-ए-दिल से लब ये हर दम नाला बेताबाना था
हिज्र-ए-साक़ी में किसी पहलू क़रार असला न था

जल्वा-गर दिल में ख़याल-ए-आरिज़-ए-जानाना था
घर की ज़ीनत थी कि ज़ीनत-बख़्श साहब-ख़ाना था

क्या करूँ अब मुब्तला हूँ आप अपने हाल में
दी थी नेमत उस ने जब लब पर मिरे शुक्राना था

शोहरा-ए-आफ़ाक़ होती मेरी अज़-ख़ुद-रफ़्तगी
ख़ैरियत गुज़री कि आँखों से तुझे देखा न था

फ़स्ल-ए-गुल में छोड़ता मय देख कर माह-ए-सियाम
कुछ जुनूँ मुझ को न था वहशत न थी सौदा न था

क्या कहूँ डर ये है वो लैला-अदा रुस्वा न हो
वर्ना मजनूँ से भी कुछ बढ़ कर मेरा अफ़्साना न था

गर नज़ाकत में न होता मिस्ल-ए-तार-ए-अंकबूत
ख़ूब उल्फ़त से ज़माना में कोई रिश्ता न था

यूँ ज़ईफ़ी आ गई गोया अज़ल से थे ज़ईफ़
और शबाब ऐसा गया जैसे कभी आया न था

है यक़ीं आशिक़ तुम्हारा मर गया हो लो ख़बर
मैं ने कल देखा था जा कर हाल कुछ अच्छा न था

नीम-बाज़ आँखें तुम्हारा नाम था विर्द-ए-ज़बाँ
ज़ख़्म-ए-दिल पर हाथ था लब पर मगर शिकवा न था

बख़्त की बरगश्तगी गुज़री है हद से ऐ 'हबीब'
देखते हैं उन के तलवे जिन का मुँह देखा न था

  - Habeeb Moosavi

Valentine Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Habeeb Moosavi

As you were reading Shayari by Habeeb Moosavi

Similar Writers

our suggestion based on Habeeb Moosavi

Similar Moods

As you were reading Valentine Shayari Shayari