qat'a hota rahe is tarah bayaan-e-waiz
ek hi baat mein ho band zabaan-e-waiz
turfah-aafat mein fansi aati hai jaan-e-waiz
kaun may-khaana mein tha martaba-daan-e-waiz
kyun na meena-e-may-e-naab patak doon sar par
aish jab talkh ho sun sun ke bayaan-e-waiz
is tarah pand-o-naseehat ki uthaai tamheed
aaj saaqi pe hua mujh ko gumaan-e-waiz
tezi-e-badaa kuja talkhi-e-guftaar kuja
kund hai nashtar-e-saaqi se sinaan-e-waiz
fasl-e-gul aate hi may-khaana mein ik bheed hui
na sooni ek bhi rindon ne fughaan-e-waiz
phir dar-e-peer-e-kharaabaat pe baitha hai habeeb
ye to aaya tha abhi sun ke bayaan-e-waiz
क़त्अ होता रहे इस तरह बयान-ए-वाइज़
एक ही बात में हो बंद ज़बान-ए-वाइज़
तुरफ़ा-आफ़त में फँसी आती है जान-ए-वाइज़
कौन मय-ख़ाना में था मर्तबा-दान-ए-वाइज़
क्यूँ न मीना-ए-मय-ए-नाब पटक दूँ सर पर
ऐश जब तल्ख़ हो सुन सुन के बयान-ए-वाइज़
इस तरह पंद-ओ-नसीहत की उठाई तम्हीद
आज साक़ी पे हुआ मुझ को गुमान-ए-वाइज़
तेज़ी-ए-बादा कुजा तल्ख़ी-ए-गुफ़्तार कुजा
कुंद है नश्तर-ए-साक़ी से सिनान-ए-वाइज़
फ़स्ल-ए-गुल आते ही मय-ख़ाना में इक भीड़ हुई
न सुनी एक भी रिंदों ने फ़ुग़ान-ए-वाइज़
फिर दर-ए-पीर-ए-ख़राबात पे बैठा है 'हबीब'
ये तो आया था अभी सुन के बयान-ए-वाइज़
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Habeeb Moosavi
our suggestion based on Habeeb Moosavi
As you were reading Maikashi Shayari Shayari