sharaab pee jaan tan mein aayi alam se tha dil kebab kaisa
gale se lag jaao aao sahab kahaan ka parda hijaab kaisa
ab aao bhi har taraf takalluf naqaab kaisi kahaan ka parda
jhukaaye kyun sar ho sharm se tum ayaan hai rukh se hijaab kaisa
badha jo main rakh ke uzr-e-masti kaha ye hans kar chadha ke tevari
hato zara hosh mein raho jee sambhalo dil iztiraab kaisa
tumhein mubarak ho jo liya hai bhula do jo ham ko de diya hai
jo ho gaya us ka zikr kya hai ye doston mein hisaab kaisa
bahaar ke din hain kya maza hai sharaab ka daur chal raha hai
laga hai sabza chaman khula hai baras raha hai sahaab kaisa
main rashk-e-majnoon hoon dekh idhar tu na la saba gulsitaan ki khushboo
ghubaar ki hai dimaagh ko khoo kahaan ka itr aur gulaab kaisa
vo chashm karti hai said aahu hain itne teer-e-miza taraazu
pukaar hogi ye kal ko har soo kareeh hai mushk-e-naab kaisa
kabhi vo masti mein rang laaye kabhi kiya shaad muskuraaye
ajab tarah ke maze uthaaye visaal ki shab mein khwaab kaisa
na mel kar saaqiya yoonhi de pasand mujh ko nahin koi shay
jigar pe charka lage piyaape kahaan ka paani gulaab kaisa
nahin hai dozakh ka dil ko kuchh gham meri bhi sun naaseha zara tham
raheem vo pur-gunaah hain ham azaab kaisa savaab kaisa
jo roz hai rukh to zulf hai shab zaqan hai maanind chaah-e-nakhshab
ye haal hai bachpane mein yaarab to hoga ahad-e-shabaab kaisa
ye daur hai chashm-e-surma-goon ka falak hai ik qatra behar-e-khoon ka
jahaan mein rang hai fusoon ka hai mast har shaikh-o-shabaab kaisa
habeeb hain band kaam tere kahaan hain shaah-e-anaam tere
nahin pahunchte imaam tere hai banda-e-boo-turaab kaisa
शराब पी जान तन में आई अलम से था दिल कबाब कैसा
गले से लग जाओ आओ साहब कहाँ का पर्दा हिजाब कैसा
अब आओ भी हर तरफ़ तकल्लुफ़ नक़ाब कैसी कहाँ का पर्दा
झुकाए क्यूँ सर हो शर्म से तुम अयाँ है रुख़ से हिजाब कैसा
बढ़ा जो मैं रख के उज़्र-ए-मस्ती कहा ये हँस कर चढ़ा के तेवरी
हटो ज़रा होश में रहो जी सँभालो दिल इज़्तिराब कैसा
तुम्हें मुबारक हो जो लिया है भुला दो जो हम को दे दिया है
जो हो गया उस का ज़िक्र क्या है ये दोस्तों में हिसाब कैसा
बहार के दिन हैं क्या मज़ा है शराब का दौर चल रहा है
लगा है सब्ज़ा चमन खुला है बरस रहा है सहाब कैसा
मैं रश्क-ए-मजनूँ हूँ देख इधर तू न ला सबा गुलसिताँ की ख़ुशबू
ग़ुबार की है दिमाग़ को ख़ू कहाँ का इत्र और गुलाब कैसा
वो चश्म करती है सैद आहू हैं इतने तीर-ए-मिज़ा तराज़ू
पुकार होगी ये कल को हर सू करीह है मुश्क-ए-नाब कैसा
कभी वो मस्ती में रंग लाए कभी किया शाद मुस्कुराए
अजब तरह के मज़े उठाए विसाल की शब में ख़्वाब कैसा
न मेल कर साक़िया यूँही दे पसंद मुझ को नहीं कोई शय
जिगर पे चरका लगे पियापे कहाँ का पानी गुलाब कैसा
नहीं है दोज़ख़ का दिल को कुछ ग़म मिरी भी सुन नासेहा ज़रा थम
रहीम वो पुर-गुनाह हैं हम अज़ाब कैसा सवाब कैसा
जो रोज़ है रुख़ तो ज़ुल्फ़ है शब ज़क़न है मानिंद चाह-ए-नख़शब
ये हाल है बचपने में यारब तो होगा अहद-ए-शबाब कैसा
ये दौर है चश्म-ए-सुर्मा-गूँ का फ़लक है इक क़तरा बहर-ए-ख़ूँ का
जहान में रंग है फ़ुसूँ का है मस्त हर शैख़-ओ-शबाब कैसा
'हबीब' हैं बंद काम तेरे कहाँ हैं शाह-ए-अनाम तेरे
नहीं पहुँचते इमाम तेरे है बंदा-ए-बू-तुराब कैसा
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Habeeb Moosavi
our suggestion based on Habeeb Moosavi
As you were reading Nigaah Shayari Shayari