koi baat aisi aaj ai meri gul-rukhsaar ban jaaye
ki bulbul baaton baaton mein dam-e-guftaar ban jaaye
ayaan ho jazb-e-shauq aisa haseen aayein ziyaarat ko
meri turbat ka mela misr ka bazaar ban jaaye
mere hansne pe vo kahte hain aisa bhi na ho be-khud
ki koi aadmi se qahqaha deewaar ban jaaye
ta'ajjub kuchh nahin hai gar wafur-e-soz-e-furqat se
mera har moo-e-tan minkaar-e-mauseeqaar ban jaaye
tahalte gar chale aayein vo daaghoon ke tamaashe ko
abhi sarv-e-charaaghaan mera jism-e-zaar ban jaaye
brahman shaikh ko kar de nigaah-e-naaz us but ki
guloo-e-zohad mein taar-e-nazar zunnar ban jaaye
agar ghar se b-qasd-e-sair nikle vo kamaan-abroo
to bahr-e-taair-e-dil har mizaa soofaar ban jaaye
tabassum kar tamasha dekh ke vehshat ka phir zalim
mera chaak-e-garebaan zakhm-e-daaman-daar ban jaaye
yoonhi hans hans ke tum aashiq ka rona dekhte jaao
ki har taar-e-nazar ik motiyon ka haar ban jaaye
badhaao manzilt teg ada ki tund-khooi se
munaasib hai jo ye shamsheer jauhar-daar ban jaaye
agar aaina-e-dil saaf ho husn-e-tavajjoh se
har ik aankhon ka parda pardaa-e-asraar ban jaaye
yahi hai khoon-bahaa chal kar zara kah do ishaare se
habeeb'-e-khasta ka marqad pas-e-deewaar ban jaaye
कोई बात ऐसी आज ऐ मेरी गुल-रुख़्सार बन जाए
कि बुलबुल बातों बातों में दम-ए-गुफ़्तार बन जाए
अयाँ हो जज़्ब-ए-शौक़ ऐसा हसीं आएँ ज़ियारत को
मिरी तुर्बत का मेला मिस्र का बाज़ार बन जाए
मिरे हँसने पे वो कहते हैं ऐसा भी न हो बे-ख़ुद
कि कोई आदमी से क़हक़हा दीवार बन जाए
तअज्जुब कुछ नहीं है गर वफ़ूर-ए-सोज़-ए-फ़ुर्क़त से
मिरा हर मू-ए-तन मिन्क़ार-ए-मौसीक़ार बन जाए
टहलते गर चले आएँ वो दाग़ों के तमाशे को
अभी सर्व-ए-चराग़ाँ मेरा जिस्म-ए-ज़ार बन जाए
बरहमन शैख़ को कर दे निगाह-ए-नाज़ उस बुत की
गुलू-ए-ज़ोहद में तार-ए-नज़र ज़ुन्नार बन जाए
अगर घर से ब-क़स्द-ए-सैर निकले वो कमाँ-अबरू
तो बहर-ए-ताइर-ए-दिल हर मिज़ा सूफ़ार बन जाए
तबस्सुम कर तमाशा देख के वहशत का फिर ज़ालिम
मिरा चाक-ए-गरेबाँ ज़ख़्म-ए-दामन-दार बन जाए
यूँही हँस हँस के तुम आशिक़ का रोना देखते जाओ
कि हर तार-ए-नज़र इक मोतियों का हार बन जाए
बढ़ाओ मंज़िलत तेग़ अदा की तुंद-ख़ूई से
मुनासिब है जो ये शमशीर जौहर-दार बन जाए
अगर आईना-ए-दिल साफ़ हो हुस्न-ए-तवज्जोह से
हर इक आँखों का पर्दा पर्दा-ए-असरार बन जाए
यही है ख़ूँ-बहा चल कर ज़रा कह दो इशारे से
'हबीब'-ए-ख़स्ता का मरक़द पस-ए-दीवार बन जाए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Habeeb Moosavi
our suggestion based on Habeeb Moosavi
As you were reading Baaten Shayari Shayari