tum sa gar raahbar nahin hota | तुम सा गर राहबर नहीं होता

  - Ibrat Bahraichi

tum sa gar raahbar nahin hota
koi bhi raah par nahin hota

raaste bhi fareb dete hain
jab koi hum-safar nahin hota

us ki yaadein jo hum-safar hoti
to safar tool-tar nahin hota

apne saaye se jo na ho mahroom
aisa koi shajar nahin hota

haan main us ki agar milaata haan
daar pe mera sar nahin hota

main nikalta hoon jab safar ke liye
ghar mein rakht-e-safar nahin hota

laakh karta hoon koshishein ibarat
gham magar mukhtasar nahin hota

तुम सा गर राहबर नहीं होता
कोई भी राह पर नहीं होता

रास्ते भी फ़रेब देते हैं
जब कोई हम-सफ़र नहीं होता

उस की यादें जो हम-सफ़र होतीं
तो सफ़र तूल-तर नहीं होता

अपने साए से जो न हो महरूम
ऐसा कोई शजर नहीं होता

हाँ मैं उस की अगर मिलाता हाँ
दार पे मेरा सर नहीं होता

मैं निकलता हूँ जब सफ़र के लिए
घर में रख़्त-ए-सफ़र नहीं होता

लाख करता हूँ कोशिशें 'इबरत'
ग़म मगर मुख़्तसर नहीं होता

  - Ibrat Bahraichi

Gham Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ibrat Bahraichi

As you were reading Shayari by Ibrat Bahraichi

Similar Writers

our suggestion based on Ibrat Bahraichi

Similar Moods

As you were reading Gham Shayari Shayari