meri aarzoo ka haasil meri zeest ka sahaara | मिरी आरज़ू का हासिल मिरी ज़ीस्त का सहारा

  - Iffat Zeba Kakorvi

meri aarzoo ka haasil meri zeest ka sahaara
tira ik haseen tabassum tira jalwa-e-khud-aara

tire dard-o-gham ke sadqe tiri be-rukhi ke qurbaan
inheen kaj-adaaiyon ne meri zeest ko sanwaara

meri kashti-e-tamanna hai ajeeb kashmakash mein
kabhi hai qareeb manzil kabhi door hai kinaara

kabhi ye khayal guzra ki nazar ke saamne ho
kabhi ye gumaan hua hai ki mujhe kahi pukaara

jo mile bhi ho to kya hai tumhein pa ke dhoondte hain
tumhein be-rukhi mubarak hamein justuju gawara

tiri shaan be-niyaazi mera ye junoon-e-paiham
tiri yaad de rahi hai mere zabt ko sahaara

kabhi nau-bahaar ban kar ho chaman chaman mein raksaan
kabhi koyelon ke lab par kabhi gul se aashkaara

kabhi dil ko chain milta kabhi dard dam to leta
tujhe be-qaraar zeba isee aarzoo ne maara

मिरी आरज़ू का हासिल मिरी ज़ीस्त का सहारा
तिरा इक हसीं तबस्सुम तिरा जल्वा-ए-ख़ुद-आरा

तिरे दर्द-ओ-ग़म के सदक़े तिरी बे-रुख़ी के क़ुर्बां
इन्हीं कज-अदाइयों ने मिरी ज़ीस्त को सँवारा

मिरी कश्ती-ए-तमन्ना है अजीब कश्मकश में
कभी है क़रीब मंज़िल कभी दूर है किनारा

कभी ये ख़याल गुज़रा कि नज़र के सामने हो
कभी ये गुमाँ हुआ है कि मुझे कहीं पुकारा

जो मिले भी हो तो क्या है तुम्हें पा के ढूँडते हैं
तुम्हें बे-रुख़ी मुबारक हमें जुस्तुजू गवारा

तिरी शान बे-नियाज़ी मिरा ये जुनून-ए-पैहम
तिरी याद दे रही है मिरे ज़ब्त को सहारा

कभी नौ-बहार बन कर हो चमन चमन में रक़्साँ
कभी कोएलों के लब पर कभी गुल से आश्कारा

कभी दिल को चैन मिलता कभी दर्द दम तो लेता
तुझे बे-क़रार 'ज़ेबा' इसी आरज़ू ने मारा

  - Iffat Zeba Kakorvi

Gulshan Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Iffat Zeba Kakorvi

As you were reading Shayari by Iffat Zeba Kakorvi

Similar Writers

our suggestion based on Iffat Zeba Kakorvi

Similar Moods

As you were reading Gulshan Shayari Shayari