shor-e-dariya-e-wafa ishrat-e-saahil ke qareeb | शोर-ए-दरिया-ए-वफ़ा इशरत-ए-साहिल के क़रीब

  - Iftikhar Aazmi

shor-e-dariya-e-wafa ishrat-e-saahil ke qareeb
ruk gaye apne qadam aaye jo manzil ke qareeb

phir ye waarftagi-e-shauq samajh mein aaye
ik zara ja ke to dekhe koi bismil ke qareeb

un se bichhde hue muddat hui lekin ab bhi
ik chubhan hoti hai mehsoos mujhe dil ke qareeb

aks-e-bazaar yahan bhi na ho is khauf se ham
laut laut aaye hain ja kar tiri mehfil ke qareeb

शोर-ए-दरिया-ए-वफ़ा इशरत-ए-साहिल के क़रीब
रुक गए अपने क़दम आए जो मंज़िल के क़रीब

फिर ये वारफ़्तगी-ए-शौक़ समझ में आए
इक ज़रा जा के तो देखे कोई बिस्मिल के क़रीब

उन से बिछड़े हुए मुद्दत हुई लेकिन अब भी
इक चुभन होती है महसूस मुझे दिल के क़रीब

अक्स-ए-बाज़ार यहाँ भी न हो इस ख़ौफ़ से हम
लौट लौट आए हैं जा कर तिरी महफ़िल के क़रीब

  - Iftikhar Aazmi

Jashn Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Iftikhar Aazmi

As you were reading Shayari by Iftikhar Aazmi

Similar Writers

our suggestion based on Iftikhar Aazmi

Similar Moods

As you were reading Jashn Shayari Shayari