rah-e-wafa se main ik gaam bhi hata to nahin
lahooluhaan hua hoon magar dara to nahin
nazar mein shaiba-e-khauf kis liye aaye
ye sail-e-jabr hujoom-e-barhana-paa to nahin
khinchaav hota hai mehsoos khun ke qatron mein
ye rooh-e-asr kahi rooh-e-karbala to nahin
ajab tanaav hai maahol mein kahein kis se
kahi pe aaj koi haadsa hua to nahin
labon pe harf-e-wafaa hai to phir nigaahon mein
ye khauf kyun ho kahi koi dekhta to nahin
रह-ए-वफ़ा से मैं इक गाम भी हटा तो नहीं
लहूलुहान हुआ हूँ मगर डरा तो नहीं
नज़र में शाइबा-ए-ख़ौफ़ किस लिए आए
ये सैल-ए-जब्र हुजूम-ए-बरहना-पा तो नहीं
खिंचाव होता है महसूस ख़ूँ के क़तरों में
ये रूह-ए-अस्र कहीं रूह-ए-कर्बला तो नहीं
अजब तनाव है माहौल में कहें किस से
कहीं पे आज कोई हादसा हुआ तो नहीं
लबों पे हर्फ़-ए-वफ़ा है तो फिर निगाहों में
ये ख़ौफ़ क्यूँ हो कहीं कोई देखता तो नहीं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Iftikhar Aazmi
our suggestion based on Iftikhar Aazmi
As you were reading Jazbaat Shayari Shayari