dard ab dil ki dava ho jaise
zindagi ek saza ho jaise
husn yun ishq se naaraz hai ab
phool khushboo se khafa ho jaise
ab kuchh is tarah se khaamosh hain vo
pehle kuchh bhi na kaha ho jaise
yun gham-e-dil ki zabaan mahki hai
nikhat-e-zulf-e-dota ho jaise
kitna sunsaan hai rasta dil ka
qaafila koi luta ho jaise
दर्द अब दिल की दवा हो जैसे
ज़िंदगी एक सज़ा हो जैसे
हुस्न यूँ इश्क़ से नाराज़ है अब
फूल ख़ुश्बू से ख़फ़ा हो जैसे
अब कुछ इस तरह से ख़ामोश हैं वो
पहले कुछ भी न कहा हो जैसे
यूँ ग़म-ए-दिल की ज़बाँ महकी है
निकहत-ए-ज़ुल्फ़-ए-दोता हो जैसे
कितना सुनसान है रस्ता दिल का
क़ाफ़िला कोई लुटा हो जैसे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Iftikhar Aazmi
our suggestion based on Iftikhar Aazmi
As you were reading Taareef Shayari Shayari