ajab din the | अजब दिन थे

  - Iftikhar Arif

ajab din the
ajab na-mehrabaan din the bahut na-mehrabaan din the
zamaane mujh se kahte the zameenen mujh se kahti theen
main ik be-bas qabeele ka bahut tanhaa musaafir hoon
vo be-manzil musaafir hoon jise ik ghar nahin milta
main us raaste ka raahi hoon jise rahbar nahin milta
magar koi musalsal dil pe ik dastak diye jaata tha kehta tha musaafir
is qadar na-mutmain rahne se kya hoga
malaal aisa bhi kya jo zehan ko har khwaab se mahroom kar de
jamaal-e-baagh-e-aainda ke har imkaan ko maadum kar de
gul-e-farda ko fasl-e-rang mein masmoom kar de
dilaase ki isee awaaz se saari thakan kam ho gai thi aur
dil ko phir qaraar aane laga tha
safar zaad-e-safar shauk-e-safar par e'tibaar aane laga tha
main khush-qismat tha
kaisi sa'at-e-khush-rang o khush-aasaar mein mujh ko
mere be-bas bahut tanhaa qabeele ko naya ghar mil gaya tha
ek rahbar mil gaya tha
ek manzil mil gai thi aur imkaanon bhara khwaabon se ummeedon se raushan
ek manzar mil gaya tha

अजब दिन थे
अजब ना-मेहरबाँ दिन थे बहुत ना-मेहरबाँ दिन थे
ज़माने मुझ से कहते थे ज़मीनें मुझ से कहती थीं
मैं इक बे-बस क़बीले का बहुत तन्हा मुसाफ़िर हूँ
वो बे-मंज़िल मुसाफ़िर हूँ जिसे इक घर नहीं मिलता
मैं उस रस्ते का राही हूँ जिसे रहबर नहीं मिलता
मगर कोई मुसलसल दिल पे इक दस्तक दिए जाता था कहता था मुसाफ़िर!
इस क़दर ना-मुतमइन रहने से क्या होगा
मलाल ऐसा भी क्या जो ज़ेहन को हर ख़्वाब से महरूम कर दे
जमाल-ए-बाग़-ए-आइंदा के हर इम्कान को मादूम कर दे
गुल-ए-फ़र्दा को फ़स्ल-ए-रंग में मस्मूम कर दे
दिलासे की इसी आवाज़ से सारी थकन कम हो गई थी और
दिल को फिर क़रार आने लगा था
सफ़र ज़ाद-ए-सफ़र शौक़-ए-सफ़र पर ए'तिबार आने लगा था
मैं ख़ुश-क़िस्मत था
कैसी साअत-ए-ख़ुश-रंग ओ ख़ुश-आसार में मुझ को
मिरे बे-बस बहुत तन्हा क़बीले को नया घर मिल गया था
एक रहबर मिल गया था
एक मंज़िल मिल गई थी और इमकानों भरा ख़्वाबों से उम्मीदों से रौशन
एक मंज़र मिल गया था

  - Iftikhar Arif

Gham Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Iftikhar Arif

As you were reading Shayari by Iftikhar Arif

Similar Writers

our suggestion based on Iftikhar Arif

Similar Moods

As you were reading Gham Shayari Shayari