andaleebon se kabhi gul se kabhi leta hoon | अंदलीबों से कभी गुल से कभी लेता हूँ

  - Iftikhar Husain Rizwi Saeed

andaleebon se kabhi gul se kabhi leta hoon
azm-e-bardaasht dam-e-tishna-labi leta hoon

tanj ki sard hawaaein jo sataati hain mujhe
shiddat-e-garmi-e-ehsaas ko pee leta hoon

zindagi baaki bhi apnon mein guzar jaayegi
is liye talkhi-e-haalat ko pee leta hoon

mujh pe sab log gunah daal diya karte hain
kis liye kis ke liye darya-dili leta hoon

inkisaari ne mujhe itni bulandi di hai
bhool kar bhi na kabhi raah-e-khudi leta hoon

अंदलीबों से कभी गुल से कभी लेता हूँ
अज़्म-ए-बर्दाश्त दम-ए-तिश्ना-लबी लेता हूँ

तंज़ की सर्द हवाएँ जो सताती हैं मुझे
शिद्दत-ए-गर्मी-ए-एहसास को पी लेता हूँ

ज़िंदगी बाक़ी भी अपनों में गुज़र जाएगी
इस लिए तल्ख़ी-ए-हालात को पी लेता हूँ

मुझ पे सब लोग गुनह डाल दिया करते हैं
किस लिए किस के लिए दरिया-दिली लेता हूँ

इंकिसारी ने मुझे इतनी बुलंदी दी है
भूल कर भी न कभी राह-ए-ख़ुदी लेता हूँ

  - Iftikhar Husain Rizwi Saeed

Zindagi Shayari

Our suggestion based on your choice

Similar Writers

our suggestion based on Iftikhar Husain Rizwi Saeed

Similar Moods

As you were reading Zindagi Shayari Shayari