aur phir kaun si ab hogi mulaqaat ki raat
bheegi bheegi ye gunahgaar si barsaat ki raat
ghoomte katata hai kooche mein tire din ka din
baithe kat jaati hai chaukhat pe tiri raat ki raat
yun hain barham tiri ghanghor ghatta si zulfen
jaisi bikhri hui bifri hui zulmaat ki raat
aisi aabaad tiri bazm hai ai jaan-e-nashaat
jaisi kaaba ki sehar jaisi kharaabaat ki raat
और फिर कौन सी अब होगी मुलाक़ात की रात
भीगी भीगी ये गुनहगार सी बरसात की रात
घूमते कटता है कूचे में तिरे दिन का दिन
बैठे कट जाती है चौखट पे तिरी रात की रात
यूँ हैं बरहम तिरी घनघोर घटा सी ज़ुल्फ़ें
जैसी बिखरी हुई बिफरी हुई ज़ुल्मात की रात
ऐसी आबाद तिरी बज़्म है ऐ जान-ए-नशात
जैसी काबा की सहर जैसी ख़राबात की रात
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ijtiba Rizvi
our suggestion based on Ijtiba Rizvi
As you were reading Baarish Shayari Shayari