bheegi bheegi ghataaein uthiin dheemi dheemi fuwaarein aayein | भीगी भीगी घटाएँ उठीं धीमी धीमी फुवारें आईं

  - Ijtiba Rizvi

bheegi bheegi ghataaein uthiin dheemi dheemi fuwaarein aayein
rafta rafta tamannaa jaagi chupke chupke bahaarein aayein

zikr-o-fikr mein kuchh din jhoole hosh nahin ab hain vo jhakole
aage rim-jhim rim-jhim boonden aur peeche bouchaarein aayein

aalam-e-shauq se un ka qaaidi tauq-o-silaasil pahne aaya
kaanpe arsh ke paaye jab zanjeeron ki jhankaaren aayein

muddat se sailaab bane vo buniyaadon ko khod rahe the
tootne par ab dair-e-khudi ki pathreeli deewarein aayein

dono jahaan ki saari pounji baar hui hai jin naaqon par
mard-e-gada ke haath mein kyunkar un naaqon ki maharein aayein

tere faqeer ko rasta chalte izzat-o-zillat mein uljhaane
mandir se poojaayein daudeen masjid se fatakaaren aayein

gosh-e-arsh ka bosa lene dehr se uth kar baari baari
kaafir ki fariyaadein aayein ghaazi ki lalkaaren aayein

us ki apni fitrat jeeti mere gunaah pe rahmat barsi
jaise maa ki chaati umdi jaise doodh ki dhaarein aayein

भीगी भीगी घटाएँ उठीं धीमी धीमी फुवारें आईं
रफ़्ता रफ़्ता तमन्ना जागी चुपके चुपके बहारें आईं

ज़िक्र-ओ-फ़िक्र में कुछ दिन झूले होश नहीं अब हैं वो झकोले
आगे रिम-झिम रिम-झिम बूँदें और पीछे बौछारें आईं

आलम-ए-शौक़ से उन का क़ैदी तौक़-ओ-सलासिल पहने आया
काँपे अर्श के पाए जब ज़ंजीरों की झंकारें आईं

मुद्दत से सैलाब बने वो बुनियादों को खोद रहे थे
टूटने पर अब दैर-ए-ख़ुदी की पथरीली दीवारें आईं

दोनों जहाँ की सारी पूँजी बार हुई है जिन नाक़ों पर
मर्द-ए-गदा के हाथ में क्यूँकर उन नाक़ों की महारें आईं

तेरे फ़क़ीर को रस्ता चलते इज़्ज़त-ओ-ज़िल्लत में उलझाने
मंदिर से पूजाएँ दौड़ीं मस्जिद से फटकारें आईं

गोश-ए-अर्श का बोसा लेने दहर से उठ कर बारी बारी
काफ़िर की फ़रियादें आईं ग़ाज़ी की ललकारें आईं

उस की अपनी फ़ितरत जीती मेरे गुनाह पे रहमत बरसी
जैसे माँ की छाती उमडी जैसे दूध की धारें आईं

  - Ijtiba Rizvi

Mazhab Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ijtiba Rizvi

As you were reading Shayari by Ijtiba Rizvi

Similar Writers

our suggestion based on Ijtiba Rizvi

Similar Moods

As you were reading Mazhab Shayari Shayari