zabaan se dil ka fasana ada kiya na gaya | ज़बाँ से दिल का फ़साना अदा किया न गया

  - Ijtiba Rizvi

zabaan se dil ka fasana ada kiya na gaya
ye tarjumaan to bani thi magar bana na gaya

ham un ke wa'ada-e-farda ko le ke baithe hain
ki jin se aaj ka wa'da wafa kiya na gaya

amaanatan mere seene mein vo fasana hai
jo dil ki aankh se dekha gaya suna na gaya

dam-e-aakheer vo dene lage hayaat-e-digar
phir ek umr ka ehsaan tha liya na gaya

qusoor-waar hain dono nigaah ho ki zabaan
ki jo kaha gaya ai dost vo kaha na gaya

ज़बाँ से दिल का फ़साना अदा किया न गया
ये तर्जुमाँ तो बनी थी मगर बना न गया

हम उन के वा'दा-ए-फ़र्दा को ले के बैठे हैं
कि जिन से आज का वा'दा वफ़ा किया न गया

अमानतन मिरे सीने में वो फ़साना है
जो दिल की आँख से देखा गया सुना न गया

दम-ए-आख़ीर वो देने लगे हयात-ए-दिगर
फिर एक उम्र का एहसान था लिया न गया

क़ुसूर-वार हैं दोनों निगाह हो कि ज़बाँ
कि जो कहा गया ऐ दोस्त वो कहा न गया

  - Ijtiba Rizvi

Nazakat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ijtiba Rizvi

As you were reading Shayari by Ijtiba Rizvi

Similar Writers

our suggestion based on Ijtiba Rizvi

Similar Moods

As you were reading Nazakat Shayari Shayari