ghup andhera hai kya qayamat hai
ik tabassum ki phir zaroorat hai
sar ko seene pe rakh ke sun lijye
aap se dil ko kuchh shikaayat hai
naasehon se hai may-kashi ka farogh
shauq parvarda-e-malaamat hai
dil ki dhadkan jo hai madaar-e-hayaat
ik zara tez ho to aafat hai
aag paani se bhaap uthati rahi
ham samjhte rahe mohabbat hai
dehr mein ham kamaal-e-sanat hain
aur baaki fareb-e-sanat hai
zulf bikhra do dono aalam par
ki andhere ki phir zaroorat hai
abhi jeene ka hukm hai rizvi
aur kya jaane kya museebat hai
घुप अंधेरा है क्या क़यामत है
इक तबस्सुम की फिर ज़रूरत है
सर को सीने पे रख के सुन लीजे
आप से दिल को कुछ शिकायत है
नासेहों से है मय-कशी का फ़रोग़
शौक़ पर्वर्दा-ए-मलामत है
दिल की धड़कन जो है मदार-ए-हयात
इक ज़रा तेज़ हो तो आफ़त है
आग पानी से भाप उठती रही
हम समझते रहे मोहब्बत है
दहर में हम कमाल-ए-सनअ'त हैं
और बाक़ी फ़रेब-ए-सनअ'त है
ज़ुल्फ़ बिखरा दो दोनों आलम पर
कि अँधेरे की फिर ज़रूरत है
अभी जीने का हुक्म है 'रिज़वी'
और क्या जाने क्या मुसीबत है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ijtiba Rizvi
our suggestion based on Ijtiba Rizvi
As you were reading Aanch Shayari Shayari