nahin aisa ki kabhi shauq par-afshaan bhi nahin | नहीं ऐसा कि कभी शौक़ पर-अफ़्शाँ भी नहीं

  - Ijtiba Rizvi

nahin aisa ki kabhi shauq par-afshaan bhi nahin
dil ko tha naaz ki veeraan hai so veeraan bhi nahin

kyun hain toofaan ki zad mein haram-o-dair-o-kunist
in mazaaron pe to muddat se charaaghaan bhi nahin

kis ne is anjuman-e-shauq ko taaraaj kiya
dil guzargaah-e-khayaalaat-e-pareshaan bhi nahin

shauq-e-afsurdah ka mujh se na gila kar ki mujhe
etibaar-e-karam-e-jumbish-e-mizgaan bhi nahin

jalwa-aabaad-e-tasavvur b-adaakaari-e-shauq
ab to marhoon-e-fusoon-saazi-e-jaanaan bhi nahin

kaayenaat apni hamein de ke bhi faarigh nahin aap
ham to kuchh muddai-e-wusa'at-e-daamaan bhi nahin

kabhi is samt ko bhi bahr-e-tamaasha niklo
dil ka hairat-kada aisa koi veeraan bhi nahin

hairat-aabaad tamasha mein na zulmat hai na noor
koi pinhaan bhi nahin hai koi uryaan bhi nahin

kab se maykhaane mein rizvi nahin aaya hai nazar
is khizaan-dost ko kuchh sharm-e-bahaaraan bhi nahin

नहीं ऐसा कि कभी शौक़ पर-अफ़्शाँ भी नहीं
दिल को था नाज़ कि वीराँ है सो वीराँ भी नहीं

क्यों हैं तूफ़ान की ज़द में हरम-ओ-दैर-ओ-कुनिश्त
इन मज़ारों पे तो मुद्दत से चराग़ाँ भी नहीं

किस ने इस अंजुमन-ए-शौक़ को ताराज किया
दिल गुज़रगाह-ए-ख़यालात-ए-परेशाँ भी नहीं

शौक़-ए-अफ़्सुर्दा का मुझ से न गिला कर कि मुझे
ए'तिबार-ए-करम-ए-जुम्बिश-ए-मिज़्गाँ भी नहीं

जल्वा-आबाद-ए-तसव्वुर ब-अदाकारी-ए-शौक़
अब तो मरहून-ए-फ़ुसूँ-साज़ी-ए-जानाँ भी नहीं

काएनात अपनी हमें दे के भी फ़ारिग़ नहीं आप
हम तो कुछ मुद्दई-ए-वुसअ'त-ए-दामाँ भी नहीं

कभी इस सम्त को भी बहर-ए-तमाशा निकलो
दिल का हैरत-कदा ऐसा कोई वीराँ भी नहीं

हैरत-आबाद तमाशा में न ज़ुल्मत है न नूर
कोई पिन्हाँ भी नहीं है कोई उर्यां भी नहीं

कब से मयख़ाने में 'रिज़वी' नहीं आया है नज़र
इस ख़िज़ाँ-दोस्त को कुछ शर्म-ए-बहाराँ भी नहीं

  - Ijtiba Rizvi

Jalwa Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ijtiba Rizvi

As you were reading Shayari by Ijtiba Rizvi

Similar Writers

our suggestion based on Ijtiba Rizvi

Similar Moods

As you were reading Jalwa Shayari Shayari