pehle to aati theen eiden bhi tumhaare aaye
khairiyat ab ke tum aaye to akela aaye
teri be-saakhta hairaani kahaan hai ai dost
ham to aatish kahi eendhan ke evaz de aaye
ab to rehzan hi koi roke to maaloom pade
rehnuma kaise ujaadon mein hamein le aaye
ham to yak-rang ujaale se hi mashhoor rahe
raushni tujh mein ye sat-rang kahaan se aaye
ham ne bechi theen jahaan neenden usi mandi se
teri aankhon ke liye khwaab suhaane aaye
पहले तो आती थीं ईदें भी तुम्हारे आए
ख़ैरियत अब के तुम आए तो अकेले आए
तेरी बे-साख़्ता हैरानी कहाँ है ऐ दोस्त
हम तो आतिश कहीं ईंधन के एवज़ दे आए
अब तो रहज़न ही कोई रोके तो मालूम पड़े
रहनुमा कैसे उजाड़ों में हमें ले आए
हम तो यक-रंग उजाले से ही मसहूर रहे
रौशनी तुझ में ये सत-रंग कहाँ से आए
हम ने बेची थीं जहाँ नींदें उसी मंडी से
तेरी आँखों के लिए ख़्वाब सुहाने आए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ikram Azam
our suggestion based on Ikram Azam
As you were reading Alone Shayari Shayari