zabt ne bheencha to aa'saab ki cheekhen nikliin | ज़ब्त ने भींचा तो आ'साब की चीख़ें निकलीं

  - Ikram Azam

zabt ne bheencha to aa'saab ki cheekhen nikliin
hausla toota to ahbaab ki cheekhen nikliin

vahshatein aisi almanaak nataaej mein miliin
jin ke imkaan pe asbaab ki cheekhen nikliin

us se fir'aun ke akhlaaq ne maangi hai panaah
us se shaddaad ke aadaab ki cheekhen nikliin

doobne waale ne kis ishq se tan pesh kiya
shiddat-e-wasl se girdaab ki cheekhen nikliin

aise guftaar ne kirdaar ki khilat nochi
maathe likkhe hue alqaab ki cheekhen nikliin

jo na laai gai us taab ki cheekhen nikliin
munh pe padte hue tezaab ki cheekhen nikliin

lafz ubhre to samaawaat ke kangre dole
aur jab doobe to mehraab ki cheekhen nikliin

ज़ब्त ने भींचा तो आ'साब की चीख़ें निकलीं
हौसला टूटा तो अहबाब की चीख़ें निकलीं

वहशतें ऐसी अलमनाक नताएज में मिलीं
जिन के इम्कान पे अस्बाब की चीख़ें निकलीं

उस से फ़िरऔन के अख़्लाक़ ने माँगी है पनाह
उस से शद्दाद के आदाब की चीख़ें निकलीं

डूबने वाले ने किस इश्क़ से तन पेश किया
शिद्दत-ए-वस्ल से गिर्दाब की चीख़ें निकलीं

ऐसे गुफ़्तार ने किरदार की ख़िलअत नोची
माथे लिक्खे हुए अलक़ाब की चीख़ें निकलीं

जो न लाई गई उस ताब की चीख़ें निकलीं
मुँह पे पड़ते हुए तेज़ाब की चीख़ें निकलीं

लफ़्ज़ उभरे तो समावात के कंगरे डोले
और जब डूबे तो मेहराब की चीख़ें निकलीं

  - Ikram Azam

I love you Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ikram Azam

As you were reading Shayari by Ikram Azam

Similar Writers

our suggestion based on Ikram Azam

Similar Moods

As you were reading I love you Shayari Shayari