nashaat-e-nau ki talab hai na taaza gham ka jigar | नशात-ए-नौ की तलब है न ताज़ा ग़म का जिगर

  - Ikram Azam

nashaat-e-nau ki talab hai na taaza gham ka jigar
sukoon-girifta ko kaise ho zer-o-bam ka jigar

agarche tishna-nigaahi misaal-e-sehra hai
nahin hai dast-e-dua ko tire karam ka jigar

jigar ko ishq ne faulaad kar diya hai jab
nahin raha hai sitam-kaar ko sitam ka jigar

hai iztiraab-e-jigar lehar lehar par bhari
kahaan hai bahar ko is tarah pech-o-kham ka jigar

ye kaam top tapanche ke daayere ka nahin
futooh-e-fikr-o-nazar to hai bas qalam ka jigar

hamaare maathe mein rakh di hai daas ki si sarishta
use khuda ne diya hai kisi sanam ka jigar

hamaari chaah mein roee hai zindagi itna
ki paani paani hua ja raha hai sam ka jigar

jigar ka dam hai ki gard-e-zameen se tootaa hai
agarche tod na paaya falak bhi dam ka jigar

bas aazam aaj to had hi khumaar ne kar di
kahi se ghol ke le aao tair-e-ram ka jigar

नशात-ए-नौ की तलब है न ताज़ा ग़म का जिगर
सुकूँ-गिरफ़्ता को कैसे हो ज़ेर-ओ-बम का जिगर

अगरचे तिश्ना-निगाही मिसाल-ए-सहरा है
नहीं है दस्त-ए-दुआ को तिरे करम का जिगर

जिगर को इश्क़ ने फ़ौलाद कर दिया है जब
नहीं रहा है सितम-कार को सितम का जिगर

है इज़्तिराब-ए-जिगर लहर लहर पर भारी
कहाँ है बहर को इस तरह पेच-ओ-ख़म का जिगर

ये काम तोप तपनचे के दाएरे का नहीं
फ़ुतूह-ए-फिक्र-ओ-नज़र तो है बस क़लम का जिगर

हमारे माथे में रख दी है दास की सी सरिश्त
उसे ख़ुदा ने दिया है किसी सनम का जिगर

हमारी चाह में रोई है ज़िंदगी इतना
कि पानी पानी हुआ जा रहा है सम का जिगर

जिगर का दम है कि गर्द-ए-ज़मीं से टूटता है
अगरचे तोड़ न पाया फ़लक भी दम का जिगर

बस 'आज़म' आज तो हद ही ख़ुमार ने कर दी
कहीं से घोल के ले आओ तैर-ए-रम का जिगर

  - Ikram Azam

Valentine Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ikram Azam

As you were reading Shayari by Ikram Azam

Similar Writers

our suggestion based on Ikram Azam

Similar Moods

As you were reading Valentine Shayari Shayari