le chale ho to kahi door hi le jaana mujhe | ले चले हो तो कहीं दूर ही ले जाना मुझे

  - Ikram Azam

le chale ho to kahi door hi le jaana mujhe
mat kisi bisri hui yaad se takraana mujhe

main to is mein bhi bahut khush hoon tira naam to hai
ek jura bhi tire naam ka may-khaana mujhe

aaj daanista taghaaful se hoon haara hua main
kal talak umr ki sacchaai thi afsaana mujhe

tu ne bhi maan liya logon ka failaaya sach
tu ne bhi jaate hue laut ke dekha na mujhe

ilm ke taur pe seekhe hain mohabbat ke rumooz
tum bina soche hi kah jaate ho deewaana mujhe

aa meri jaan ke dushman tiri taadeeb karoon
tera har vaar laga gair dilerana mujhe

ab mujhe tu hi bata dono mein kyun tujh ko chunoon
tu ne rakha na mujhe dard ne chhodaa na mujhe

ले चले हो तो कहीं दूर ही ले जाना मुझे
मत किसी बिसरी हुई याद से टकराना मुझे

मैं तो इस में भी बहुत ख़ुश हूँ तिरा नाम तो है
एक जुरआ' भी तिरे नाम का मय-ख़ाना मुझे

आज दानिस्ता तग़ाफ़ुल से हूँ हारा हुआ मैं
कल तलक उम्र की सच्चाई थी अफ़्साना मुझे

तू ने भी मान लिया लोगों का फैलाया सच
तू ने भी जाते हुए लौट के देखा न मुझे

इल्म के तौर पे सीखे हैं मोहब्बत के रुमूज़
तुम बिना सोचे ही कह जाते हो दीवाना मुझे

आ मिरी जान के दुश्मन तिरी तादीब करूँ
तेरा हर वार लगा ग़ैर दिलेराना मुझे

अब मुझे तू ही बता दोनों में क्यूँ तुझ को चुनूँ
तू ने रक्खा न मुझे दर्द ने छोड़ा न मुझे

  - Ikram Azam

Ilm Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ikram Azam

As you were reading Shayari by Ikram Azam

Similar Writers

our suggestion based on Ikram Azam

Similar Moods

As you were reading Ilm Shayari Shayari