wasi'a jungle hai ek jaanib pahaadon ka silsila chala hai | वसीअ जंगल है एक जानिब पहाड़ों का सिलसिला चला है

  - Jabbar Jameel

wasi'a jungle hai ek jaanib pahaadon ka silsila chala hai
shaam aahistagi se pedon pe kuhniyaan tektee hai
suraj kiran kiran apni raushni rehan rakh ke garbi dayaar-e-falaki se
baadlon ka lihaaf le kar

yak-shebee neend ke tasavvur mein unghta hai
khizaan-raseeda anaar ka ik shajar khada hai
main jis ke neeche
ahad-o-paimaan ke laal yaqoot
izhaar o iqaar ke zamurad
kisi ko deta hoon
aur leta hoon
aur lafzon ki is tijaarat pe
apni neend mein muskuraa raha hoon

वसीअ जंगल है एक जानिब पहाड़ों का सिलसिला चला है
शाम आहिस्तगी से पेड़ों पे कुहनियाँ टेकती है
सूरज किरन किरन अपनी रौशनी रेहन रख के ग़र्बी दयार-ए-फ़लकी से
बादलों का लिहाफ़ ले कर

यक-शबी नींद के तसव्वुर में ऊँघता है
ख़िज़ाँ-रसीदा अनार का इक शजर खड़ा है
मैं जिस के नीचे
अहद-ओ-पैमाँ के लाल याक़ूत
इज़हार ओ इक़रार के ज़मुर्रद
किसी को देता हूँ
और लेता हूँ
और लफ़्ज़ों की इस तिजारत पे
अपनी नींद में मुस्कुरा रहा हूँ

  - Jabbar Jameel

Nature Shayari

Our suggestion based on your choice

Similar Writers

our suggestion based on Jabbar Jameel

Similar Moods

As you were reading Nature Shayari Shayari