shaahraahein nahin dagar to hai | शाहराहें नहीं डगर तो है

  - Jagdish Prakash

shaahraahein nahin dagar to hai
manzilen na sahi safar to hai

door sehra mein ek chhota sa
be-samar hi sahi shajar to hai

mukhtasar go hai daastaan meri
us ke anjaam mein asar to hai

zulmat-e-shab giran hai ye maana
raat ke ba'd phir sehar to hai

hain dariche udaas dar veeraan
kuchh nahin phir bhi apna ghar to hai

mere alfaaz mein kashish na sahi
meri awaaz mein asar to hai

शाहराहें नहीं डगर तो है
मंज़िलें ना सही सफ़र तो है

दूर सहरा में एक छोटा सा
बे-समर ही सही शजर तो है

मुख़्तसर गो है दास्तान मिरी
उस के अंजाम में असर तो है

ज़ुल्मत-ए-शब गिराँ है ये माना
रात के बअ'द फिर सहर तो है

हैं दरीचे उदास दर वीराँ
कुछ नहीं फिर भी अपना घर तो है

मेरे अल्फ़ाज़ में कशिश न सही
मेरी आवाज़ में असर तो है

  - Jagdish Prakash

Khafa Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Jagdish Prakash

As you were reading Shayari by Jagdish Prakash

Similar Writers

our suggestion based on Jagdish Prakash

Similar Moods

As you were reading Khafa Shayari Shayari