tumhaara zikr meri daastaan ban baitha
main ek zarra tha aur aasmaan ban baitha
sawaal karte hain rah-rah ke mujh se lail-o-nahaar
main apni zaat se kyun bad-gumaan ban baitha
vo jis ne mujh ko nazar bhar ke bhi nahin dekha
vo shakhs mere fasaane ki jaan ban baitha
khayal-e-nau se uljhta hua mera ehsaas
meri ghazal ke safar ka bayaan ban baitha
main jism hoon ki koi rooh ya faqat ehsaas
mera vujood khud ik imtihaan ban baitha
kabhi jo us ko tasavvur mein la ke dekh liya
har ik khayal mera gulsitaan ban baitha
तुम्हारा ज़िक्र मिरी दास्तान बन बैठा
मैं एक ज़र्रा था और आसमान बन बैठा
सवाल करते हैं रह-रह के मुझ से लैल-ओ-नहार
मैं अपनी ज़ात से क्यूँ बद-गुमान बन बैठा
वो जिस ने मुझ को नज़र भर के भी नहीं देखा
वो शख़्स मेरे फ़साने की जान बन बैठा
ख़याल-ए-नौ से उलझता हुआ मिरा एहसास
मिरी ग़ज़ल के सफ़र का बयान बन बैठा
मैं जिस्म हूँ कि कोई रूह या फ़क़त एहसास
मिरा वजूद ख़ुद इक इम्तिहान बन बैठा
कभी जो उस को तसव्वुर में ला के देख लिया
हर इक ख़याल मिरा गुल्सितान बन बैठा
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Jagdish Prakash
our suggestion based on Jagdish Prakash
As you were reading Travel Shayari Shayari