tira khayal mujhe is tarah pukaarta hai | तिरा ख़याल मुझे इस तरह पुकारता है

  - Jagdish Prakash

tira khayal mujhe is tarah pukaarta hai
ki mandiron mein koi aarti utaarta hai

hiloren leti hai kuchh is tarah tiri yaadein
nadi mein jaise koi kashtiyaan utaarta hai

khamoshiyon ke bichhaune pe shab ke pichhle pahar
tira khayal nayi aarzoo ubhaarta hai

tiri wafaon ke mausam badalte rahte hain
meri wafa ka chaman bas tujhe nihaarta hai

kuchh aahaten si kahi ho rahi hain dil ke qareeb
koi to hai jo meri bazm-e-jaan sanwaarta hai

mujhe to apne aqeedon ki pukhtagi hai aziz
nahin ye khauf koi sar mera utaarta hai

तिरा ख़याल मुझे इस तरह पुकारता है
कि मंदिरों में कोई आरती उतारता है

हिलोरें लेती है कुछ इस तरह तिरी यादें
नदी में जैसे कोई कश्तियाँ उतारता है

ख़मोशियों के बिछौने पे शब के पिछले पहर
तिरा ख़याल नई आरज़ू उभारता है

तिरी वफ़ाओं के मौसम बदलते रहते हैं
मिरी वफ़ा का चमन बस तुझे निहारता है

कुछ आहटें सी कहीं हो रही हैं दिल के क़रीब
कोई तो है जो मिरी बज़्म-ए-जाँ सँवारता है

मुझे तो अपने अक़ीदों की पुख़्तगी है अज़ीज़
नहीं ये ख़ौफ़ कोई सर मिरा उतारता है

  - Jagdish Prakash

Tasawwur Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Jagdish Prakash

As you were reading Shayari by Jagdish Prakash

Similar Writers

our suggestion based on Jagdish Prakash

Similar Moods

As you were reading Tasawwur Shayari Shayari