baat ki baat rahe baat ka mafhoom rahe
aur takhayyul mera taaza rahe ma'soom rahe
har nayi soch ko mazmoon bana loonga magar
mera kirdaar meri zaat se mausoom rahe
meri pehchaan ke sab log juda hote gaye
jo bache meri tarah bebas-o-mazloom rahe
aaj tak bante rahe hain jo hamaare zaamin
un se ham haath milaane se bhi mahroom rahe
ab to bas khud hi suna karte hain apni awaaz
aap ke qadmon ki aahat se bhi mahroom rahe
बात की बात रहे बात का मफ़्हूम रहे
और तख़य्युल मिरा ताज़ा रहे मा'सूम रहे
हर नई सोच को मज़मून बना लूँगा मगर
मेरा किरदार मिरी ज़ात से मौसूम रहे
मेरी पहचान के सब लोग जुदा होते गए
जो बचे मेरी तरह बेबस-ओ-मज़लूम रहे
आज तक बनते रहे हैं जो हमारे ज़ामिन
उन से हम हाथ मिलाने से भी महरूम रहे
अब तो बस ख़ुद ही सुना करते हैं अपनी आवाज़
आप के क़दमों की आहट से भी महरूम रहे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Jagdish Prakash
our suggestion based on Jagdish Prakash
As you were reading Wajood Shayari Shayari